kabhi mausam sath nahin dete kabhi bel munder nahin chadhti lekin yahan waqt badalne mein aisi koi der nahin lagti kahin andar bazm sajae hue kahin bahar khud ko chhupae hue tere zikr ka kaam nahin rukta teri yaad ki umr nahin dhalti ek khwab-numa tamsil ka dhundla aks hai aaina-khane mein wo husn dikhai nahin deta aur phir bhi nigah nahin hatti kai sadiyan bit gain mujh mein tere qurb ki be-lazzat rut mein mera jism namaz ka aadi hai meri ruh namaz nahin padhti