suna hai is taraf ka rukh karenge tere dushman meri jaanib badhenge kisi se kuchh na puchha kuchh na jaana ye dhabbe khun ke kaise dhulenge bahut hain chaar din ye zindagi ke kabhi ran mein kabhi ghar mein rahenge masihaon ko ab zahmat na hogi hum un ke aate aate mar chukenge kahan jate hain ghabrae hue log ki sahra mein to diwane rahenge abhi marne ki jaldi hai 'ibaadi' agar zinda rahe to phir milenge