khula hai jalwa-e-pinhan se az-bas chaak wahshat ka main darta hun kahin parda na phat jae haqiqat ka kahan le jaega yarab samand-e-tund wahshat ka ki pichhe rah gaya koson doraha nar-o-jannat ka ghubar-e-rang-e-parran hai pharera teri rayat ka shikast-e-qalb-e-ashiq ghalghala hai teri nusrat ka kiya hai qasd kis ke kangur-e-aiwan-e-rifat ka ki thama hai tere nale ne paya arsh-e-himmat ka jhuka di qudsiyon ne be-takalluf gardan-e-taat zahe-rutba kaf-e-khak-e-dar-e-wala-e-daulat ka khule kis tarah parda parda-e-gosh-e-tahayyur par ki be-saut-o-sada hai parda saz-e-bazm-e-wahdat ka sanam taq-e-haram se dafatan niche utar aae adab tha bas ki wajib dost ke qasid ke talat ka hijab-e-tan kasad-e-raunaq-e-kala-e-yusuf hai taraddud kya hai zindan-khana-e-hijran se hijrat ka salatin ko nahin pata mizaj un ke faqiron ka ki anqa-e-falak-parwaz hai qaf-e-qanaat ka lab-e-asnam hain qand-e-sukhan se sar-ba-mohr ab tak khamoshi se maza puchhe koi teri fasahat ka maze milte hain kya kya ishq ke lazzat-shanason ko hamein daman-e-zakhm-e-dil ewaz hai khwan-e-neamat ka tere hairat-kade mein farsh hai aaina kya o but ki khasan-e-dar-e-daulat ko hi khatka hai zillat ka nigah be-his khat-e-saghar ki surat hai ki saqi ne diya hai mardum-e-chashm-e-jahan ko jam hairat ka talash-e-jalwa-e-mani mein takraya kiye sajde na tuta dast-e-khushk-e-zohd se but-khana surat ka qayamat-e-barhami dali to hijran ki ghadi guzri zamin hai gard shisha aasman shisha hai saat ka buton par lat mari mehr-o-mah se pher lin aankhen 'bayan' allah re ghamza mere husn-e-aqidat ka