suna ke apne aish-e-tam ki rudad ke tukde uda dunga kisi din charkh ki bedad ke tukde asiri ko ata kar ke asiri ka sharaf hum ne uda dale khud apni fitrat-e-azad ke tukde kahan ka aadmi insan kaisa ma-hasal ye hai kahin ashkhas ke purze kahin afrad ke tukde tabahi ke mazon se bhi gae ab wae-mahrumi sametunga kahan tak hasrat-e-barbaad ke tukde ye sina talkh yaadon ka khazina hi sahi lekin bahut chubhte hain dil mein ek nukili yaad ke tukde tum achchhe hi sahi mera bura hona bhi hai bar-haq ki hum sab hain kisi majmua-e-azdad ke tukde hamein lakht-e-jigar khane ko hargiz kam na tha 'akhtar' magar qismat mein likkhe the jahanabaad ke tukde