suna suna aangan hai aur baam-o-dar khamosh kis se guftugu kije ho jo ghar ka ghar khamosh shama ki tarah koi gham-gusar kya hoga sath sath chalti hai raat raat bhar khamosh kuchh to maslahat hogi jo zaban nahin khulti warna teri mahfil mein hum aur is qadar khamosh hai sukut ka aalam kaenat par tari jab se hum idhar chup hain aur wo udhar khamosh shahr-e-dil pe chhae hain dasht-e-gham ke sannate kitni aarzuen hain sab ki sab magar khamosh karwan ko luta hai kis ne ye batae kaun chashm-e-rahzan hairan dast-e-rahbar khamosh jaur-ha-e-yaran ke silsile na badh jaen aur bhi rahe 'khawar' tum yunhi agar khamosh