mai-kade mein aaj ek duniya ko izn-e-am tha daur-e-jam-e-be-khudi begana-e-ayyam tha ruh larzan aankh mahw-e-did dil nakaam tha ishq ka aaghaz bhi shaista-e-anjam tha rafta rafta ishq ko taswir-e-gham kar hi diya husn bhi kitna kharab-e-gardish-e-ayyam tha gham-kade mein dahr ke yun to andhera tha magar ishq ka dagh-e-siyah-bakhti charagh-e-sham tha teri duzdida-nigahi yun to na-mahsus thi han magar daftar ka daftar husn ka paigham tha shaq ahl-e-shauq par thin us ki ismat-dariyan sach hai lekin husn dar-parda bahut bad-nam tha mahw the gulzar-e-ranga-rang ke naqsh-o-nigar wahshaten thi dil ke sannate the dasht-e-sham tha be-khata tha husn har jaur-o-jafa ke baad bhi ishq ke sar ta-abad ilzam hi ilzam tha yun gareban-chaak duniya mein nahin hota koi har khula gulshan shahid-e-gardish-e-ayyam tha dekh husn-e-sharmagin dar-parda kya laya hai rang ishq ruswa-e-jahan badnam hi badnam tha raunaq-e-bazm-e-jahan tha go dil-e-gham-ghin 'firaq' sard tha afsurda tha mahrum tha nakaam tha