sune siyah shahr pe manzar-pazir main aankhen qalil hoti hui aur kasir main masjid ki sidhiyon pe gadagar khuda ka nam masjid ke baam-o-dar pe amir o kabir main dar-asl is jahan ko zarurat nahin meri har-chand is jahan ke liye na-guzir main main bhi yahan hun is ki shahadat mein kis ko laun mushkil ye hai ki aap hun apni nazir main mujh tak hai mere dukh ke tasawwuf ka silsila ek zakhm main murid to ek zakhm pir main har zakhm qafile ki guzargah mera dil ru-e-zamin pe ek lahu ki lakir main