ye jitni der hui shaikh ko wuzu karte hum utni der mein khali khum-o-subu karte shikar bhi bat-e-mai ka kinar-e-ju karte wahin namaz bhi padhte wahin wuzu karte kalim baat badhate na guftugu karte lab-e-khamosh se izhaar-e-arzu karte hasin bhi hon khush-awaz bhi farishta-e-qabr kati hai umr hasinon se guftugu karte hamari bhul ka sagar ye gul agar bante to aur rang se izhaar-e-rang-o-bu karte giraate yunhi sar-e-tur bijliyan hum par agar hijab tha parde se guftugu karte ye dagh-e-mai hain bure phailte sar-e-daman jo aab-e-zamzam-o-kausar se hum wuzu karte hamein khuda ke siwa kuchh nazar nahin aata nikal gae hain bahut dur justuju karte padi hai khu-e-subuhi daraaz hai shab-e-gor uthenge hashr ke din hum subu subu karte masak gaya hai kisi ka zara sa daman-e-gul jagah jagah se sisakta jo tum rafu karte ba-qadr-e-zarf-e-wuzu mai jo milti pani si siyah-ru bhi dam-e-hashr shust-o-shu karte na tha shabab kamar mein 'riyaz' zar hota to din budhape ke bhi nazr-e-lucknow karte