suni hai raushni ke qatl ki jab se khabar main ne charaghon ki taraf dekha nahin hai laut kar main ne faraaz-e-dar se apnon ke chehre khud hi pahchane faqih-e-shahr ko jaana nahin hai mo'tabar main ne bhala suraj ki tarf kaun dekhe kis mein himmat hai tere chehre pe dali hi nahin ab tak nazar main ne yaqinan aandhiyon ne aa liya kunjon ki daron ko ki khun-aluda dekhe hain faza mein baal-o-par main ne tumhaare baad main ne phir kisi ko bhi nahin dekha nahin hone diya aaluda daman-e-nazar main ne hazaron aarzuen rah gain gard-e-safar ho kar saja rakkhi hai palkon pe wahi gard-e-safar main ne dam-e-rukhsat meri palkon pe do qatre the ashkon ke kiya hai zindagani ke safar ko mukhtasar main ne main apne ghar mein khud apnon se bazi haar baitha hun abhi sikha nahin apnon mein rahne ka hunar main ne 'surur-ambaalwi' apne hi dil mein us ko paya hai jise ek umr tak aawaz di hai dar-ba-dar main ne