yun to sab saman pada hai lekin ghar viran pada hai shahr pe jaane kya biti hai har rasta sunsan pada hai zinda hun par koi mujh mein muddat se be-jaan pada hai tabhi chalen hain is qafile wale jab rasta aasan pada hai shaer kanton par jita tha phulon par diwan pada hai mere ghar ke darwaze par mera hi saman pada hai yar 'shajar' duniya ka fasana kab se be-unwan pada hai