suniye huzur mujhko nahin sadgi pasand

suniye huzur mujh ko nahin sadgi pasand
kuchh kuchh fusun ke sath hai kuchh khamushi pasand

rahte hain sanp ban ke meri aastin mein jo
un doston ki mujh ko nahin dosti pasand

wirse mein ye mili thi mujhe mehrban mere
is waste mujhe hai bahut tirgi pasand

mujh se mila tha khwab ke aalam mein aur kaha
main be-sukun tha is liye ki khud-kushi pasand

be-samt kar raha hun safar jaan-bujh kar
kis ne kaha mujhe hai miyan raushni pasand

ladki to kah rahi hai mujhe na-pasand hai
ab to bata hai tujh ko wahi waqai pasand

dekho mumasalat ki bhi had ho gai 'sahar'
us ko hai chand mujh ko bahut chandni pasand


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close