ajab tu ne jalwa dikhaya mujhe ki aalam mein phir kuchh na bhaya mujhe karun kya bayan main ye ehsan-e-ishq ki qatre se dariya banaya mujhe fida hun main us naz-e-jaan-bakhsh par ki jun jun mua mein jilaya mujhe teri zulf-e-pechan ne ai rashk-e-gul hazaron bala mein phansaya mujhe rulaya kabhun mujh ko manind-e-abr kabhun barq-asa hansaya mujhe jo apne tain main ne dekha baghaur sarapa nazar tu hi aaya mujhe main hun shah-e-khadim par 'asim' fida ki jun jun main bigda banaya mujhe