suno jab ghaib ka par jagta hai hawaon ka samundar jagta hai sabhon mein jis ne ki taqsim ninden khuda hai jo barabar jagta hai agarche bujh chuki hai meri hairat magar ab bhi wo manzar jagta hai badi dilchasp hoti hai kahani main sota hun to bistar jagta hai kisi din mar dunga aaine par jo mujh mein ek patthar jagta hai yaqin jitni bhi gahri nind mein ho koi waswas andar jagta hai chadhao chadaren soe huon par ye karne se muqaddar jagta hai hum us ghar ki hifazat kar rahe hain mere sote hi jhengur jagta hai muqaddam kaun hai ye baat chhodo wajudon mein bhi jauhar jagta hai chhupi baithi hai sahraon mein shabnam kahin kheton mein banjar jagta hai mujhe chhuti hai wo 'aswad' samajh kar badan mein jis ke marmar jagta hai