gar dil mein tabassum ka ek tir utar jae

gar dil mein tabassum ka ek tir utar jae
nau-khasta ghunche ki taqdir sanwar jae

jab jab koi tufan sa is dil se guzar jae
wo chehra-e-rangin bhi kuchh aur nikhar jae

jab dil pe mohabbat ka tufan guzar jae
shabnam se sharar tapke shoalon se asar jae

diwana tere rukh ka aur maut se dar jae
jis dil mein sadaqat ho mumkin nahin mar jae

ye khun-e-mohabbat hai khanjar na thahar jae
ek mahshar-e-betabi rag rag mein utar jae

ye rah-e-mohabbat hai jo is se guzar jae
parwah nahin us ko zar jae ki sar jae

ulfat ki zafar-mandi us roz main samjhunga
jab aah meri tere sine mein utar jae

is dil pe guzarti hai kaifiyat-e-ranga-rang
tufan sa umad aae dariya sa utar jae

hai khub magar phir bhi wo paikar-e-rang-o-bu
kuchh aur nikhar jae kuchh aur sanwar jae

kya turfa-tamasha hai faizan-e-mohabbat se
jannat se bashar nikle jannat mein bashar jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close