suno musafir! sarae-jaan ko tumhaari yaaden jala chuki hain mohabbaton ki hikayaten ab yahan se dera utha chuki hain wo shahr-e-hairat ka shahzada giraft-e-idrak mein nahin hai us ek chehre ki hairaton mein hazar aankhen sama chuki hain hum apne sar par guzishta din ki thakan uthae bhatak rahe hain dayar-e-shab teri khwab-gahen tamam parde gira chuki hain badalte mausam ki silwaton mein dabi hain hijrat ki dastanen wo dastanen jo sunne walon ki nind kab ki uda chuki hain wo sari subhen tamam shamen ki jin ke mathe pe hum likhe the suna hai kal shab tumhaare dar par lahu ke aansu baha chuki hain kahan se aae the tir hum par, tanaben khemon ki kis ne katin gurez karti hawaen hum ko tamam baaten bata chuki hain dhuen ke baadal chhate to hum ne 'nabil' dekha ajib manzar khamoshiyon ki sulagti chikhen faza ka sina jala chuki hain