subh-sawere khushbu panghat jaegi har jaanib qadmon ki aahat jaegi sare sapne bandh rakhe hain gathri mein ye gathri bhi auron mein bat jaegi kya hoga jab sal naya ek aaega? jiwan-rekha aur zara ghat jaegi aur bhala kya hasil hoga sahra se dhul meri peshani par at jaegi kitne aansu jazb karegi chhati mein yun lagta hai dharti ab phat jaegi haule haule subh ka aanchal phailega dhire dhire tariki chhat jaegi naqqare ki gunj mein aakhir-kar 'nabil' sannate ki baat yunhi kat jaegi