suno to zara ye aakhir-e-shab nafir-e-dua ajib si hai zaman-o-makan pe chhai hui junun ki nawa ajib si hai nizam naya shuur naya misal-e-ata ajib si hai sawal pe hath katte hain talab ki saza ajib si hai jigar pe har ek sinan-e-nazar jo sahte hue guzar gae hum jawab mein ab harifon ki shikast-e-ana ajib si hai ye pas-e-bahaar ashk piye jo dard badha to sher kahe bataen kise hamari tabahiyon ki ada ajib si hai utar gae chehre gardishon ke laraz gai jaan faslon ki shikasta dilon ke qafile mein fughan-e-dara ajib si hai zamane ke sard-o-garm se kab mili hai aman mujhe 'kausar' wajud-e-nafas ko bakhshi hui karam ki qaba ajib si hai