ek danish-e-nurani ek danish-e-burhani hai danish-e-burhani hairat ki farawani is paikar-e-khaki mein ek shai hai so wo teri mere liye mushkil hai is shai ki nigahbani ab kya jo fughan meri pahunchi hai sitaron tak tu ne hi sikhai thi mujh ko ye ghazal-khwani ho naqsh agar baatil takrar se kya hasil kya tujh ko khush aati hai aadam ki ye arzani mujh ko to sikha di hai afrang ne zindiqi is daur ke mulla hain kyun nang-e-musalmani taqdir shikan quwwat baqi hai abhi is mein nadan jise kahte hain taqdir ka zindani tere bhi sanam-khane mere bhi sanam-khane donon ke sanam khaki donon ke sanam fani