suno tum ghaur se thodi si hai ye dastan meri nahin chalti bayan-e-shauq par hargiz zaban meri tabassum aur phir barq-e-tabassum uf maaz-allah chhupi hai zindagi bhar ki isi mein dastan meri payam-e-shauq de kar wo bulaenge mujhe ai dil khayal-e-kham tera hai ye qismat hai kahan meri kisi ki chashm-e-maigun mein surur-e-husn raqsan hai haya khamosh fitrat hai tamanna hai jawan meri fana ke bhes mein pinhan tera anjam-e-hasti hai yahi kahti rahi mujh se 'wafa' umr-e-rawan meri