ye shab-e-furqat mein rang-e-gardish-e-ayyam tha subh ka tara jise samjha charagh-e-sham tha hum suna karte the aksar garmi-e-mahshar ka nam ab jo dekha ek sitamgar aaftab-e-baam tha imtiyaz-e-ishq tha phir kaise la sakta tha tab hashr bas is par bapa tha us ka jalwa aam tha ishq par lazim tha khud farhad ka sar todna pukhtagi ka us ko dawa us ko sauda kham tha aap to mukhtar the jo dil ne chaha wo kiya aur phir ulta mujhi par hashr mein ilzam tha mast saqi ki nazar ki jumbihson ko kya kahun yani be-parda jawab-e-gardish-e-ayyam tha main nasheman mein raha sayyaad ka yun bhi asir dil mein tha mere qafas aankhon mein meri dam tha nama-bar ko jaan de di iztirab-e-shauq mein bas yahi nama mera tha bas yahi paigham tha imtihan-e-ishq us ne kyon liya ai ahl-e-ishq pukhta-karon ki taraf se kya khayal-e-kham tha mujh ko jab se hosh hai lakhon tarah ke gham mein hun hosh mein jab tak na tha mujh ko bahut aaram tha kya 'wafa' ki sarguzisht-e-gham kahun yaadash-ba-khair mar raha tha aur lab par aap hi ka nam tha