sunoge mujh se mera majra kya kaha karte hain afsanon mein kya kya nahin tashwish-e-ainda ki ho kab guzishta ka tahayyur hai ki tha kya na kar taftish hai khalwat-nashin kaun tammul kar ki hai ye barmala kya hai ek aaina-khana bazm-e-kasrat bataun ghair kis ko ma-siwa kya faqat mazkur hai ek nisbat-e-khas muqaddar hai khabar kya mubtada kya jahan naqsh-e-qadam ho ruh-e-qudsi wahan pahunchegi aql-e-na-rasa kya lagaun shaian-lillah ki sada kyun bhula dun yafalullah-ma-yasha kya