shab-e-zindagani sahar ho gai

shab-e-zindagani sahar ho gai
bahr-kaif achchhi basar ho gai

na samjhe ki shab kyun sahar ho gai
idhar ki zamin sab udhar ho gai

zamane ki bigdi kuchh aisi hawa
ki be-ghairati bhi hunar ho gai

amaid ne ki waza jo ikhtiyar
wahi sab ko madd-e-nazar ho gai

gae jo nikal dam-e-tazwir se
hazimat hi in ki zafar ho gai

zamin munqalib aasman charkh-zan
iqamat bhi hum ko safar ho gai

mita daliye lauh-e-dil se ghubar
kisi se khata bhi agar ho gai

ba-rah-e-karam us ko tai kijiye
jo an-ban kisi baat par ho gai

na karna tha bizzid madawa-e-gham
badi chuk ai chaara-gar ho gai

ye hangama-ara hain sab be-khabar
wo chup hain jinhen kuchh khabar ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close