sunta hun main sadaen ye ashkon ki jhil se ab zindagi guzar to sabr-e-jamil se main ne diye ki lau pe tera ism kya padha ek raushni si phut padi thi fasil se dil ko sukun bakhsh de ai khaliq-e-jahan tang aa gaya hai ab ye jahan-e-zalil se kyon ras mujh ko ishq bhi aaya nahin miyan kyon samna hua mera hijr-e-qalil se 'tariq' ab is qadar bhi na sachche bano yahan rad bhi kiya na ja sake tum ko dalil se