supurd-e-gham-zadagan-e-saf-e-wafa hua main

supurd-e-gham-zadagan-e-saf-e-wafa hua main
pada hun umr ki diwar se gira hua main

ajib soch si aur us pe sochta hua main
ki tutta teri hairat mein aaina hua main

kahin main koh pe farhad aur dasht mein qais
wajud-e-ishq mein hun khud ko dhundhta hua main

jise bhi milna hai mujh se wo intizar kare
na jaane kab palat aaun kahin gaya hua main

na mil saka koi afsos waqt par mujh ko
kisi ko mil na saka waqt se kata hua main

tamam ham-nafasan qata kar gae manzil
bas ek musafir-e-rah, rah gaya bacha hua main

tamam umr yunhi tarz-e-bud-o-bash rahi
kahin charagh bana main kahin hawa hua main

samajh na sahl zamane ki gardishon ke baad
hua main khud ko faraham mujhe ata hua main

ajib kaifiyat-e-intishaar mein hun rawan
ghubar sa hun kisi khak se uda hua main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close