suragh bhi na mile ajnabi sada ke mujhe ye kaun chhup gaya sahraon mein bula ke mujhe main us ki baaton mein gham apna bhul jata magar wo shakhs rone laga khud hansa hansa ke mujhe use yaqin ki main jaan de na paunga mujhe ye khauf ki roega aazma ke mujhe jo dur rah ke udata raha mazaq mera qarib aaya to roya gale laga ke mujhe main apni qabr mein mahw-e-azab tha lekin zamana khush hua diwaron par saja ke mujhe yahan kisi ko koi puchhta nahin 'azar' kahan pe lai hai andhi hawa uda ke mujhe