meri tarif kare ya mujhe bad-nam kare jis ne jo baat bhi karni hai sar-e-am kare zakhm par waqt ka marham to laga deti hai aur kya is ke siwa gardish-e-ayyam kare mohtasib se main akela hi nimat sakta hun jis ne jo jurm kiya hai wo mere nam kare wo meri soch se khaif hai to us se kahna mujh mein udte hue tair ko tah-e-dam kare kaun aaega pae-pursish-e-ahwal yahan kis ki khatir koi tazin-e-dar-o-baam kare mujh ko bhi ho meri auqat ka kuchh andaza koi to surat-e-yusuf mujhe nilam kare