suragh-e-jada-o-manzil agar nahin milta

suragh-e-jada-o-manzil agar nahin milta
hamein kahin se jawaz-e-safar nahin milta

likhen bhi dasht-nawardi ka kuchh sabab to kya
ba-juz ki qais ko laila ka ghar nahin milta

yahan fasil-e-ana hail-e-masihai
wahan wo log jinhen chaaragar nahin milta

hazar kucha-e-nikhat mein daliye dere
magar wo phul sar-e-rahguzar nahin milta

phir aabiyari-e-nakhl-e-sukhan nahin hoti
dil-e-hazin jo pas-e-chashm-e-tar nahin milta

payam-e-shauq ko giton mein dhaaliye kyun-kar
mizaj-e-baad-e-subuk bhi agar nahin milta

chalo ki phir se rafiqon ki bazm suni hai
chalo ki sang-e-malamat ko sar nahin milta

bashar-ba-nam-e-bashar to bahut hain duniya mein
bashar ki khubiyon wala magar nahin milta

chalo phir us ke jharoke mein phul rakh aaen
sukhan koi jo agar mo'atabar nahin milta

jahan mein ek tumhi munfarid nahin 'ahmad'
yahan to koi bhi misl-e-digar nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close