na mil saka kahin dhunde se bhi nishan mera tamam raat bhatakta raha kisan mera main ghar basa ke samundar ke bich soya tha utha to aag ki lapton mein tha makan mera junun na kahiye ise khud-aziyyati kahiye badan tamam hua hai lahu-luhan mera hawaen gard ki surat uda rahi hain mujhe na ab zamin hi meri hai na aasaman mera dhamak kahin ho larazti hain khidkiyan meri ghata kahin ho tapakta hai saeban mera musibaton ke bhanwar mein pukarte hain mujhe ajib dost hain lete hain imtihan mera kise khutut likhun haal-e-dil sunaun kise na koi harf-e-shanasa na ham-zaban mera