suraj ke ham-safar hain hamari umang ye aur samne hamare hai kali surang ye meri tarah ye dil ke lahu mein nahae hain be-wajh to nahin hai gulabon ka rang ye is marke mein kaam jo hum aa gae to kya jari rahegi baad hamare bhi jang ye ek lams mil gaya tha mujhe tere dhyan ka ab umr-bhar utarne nahin dunga rang ye sharminda hun na dost muzir is liye hun main aate hain dushmanon ki taraf hi se sang ye aai hui giraft mein hai gard-baad ki ab jangalon mein ja ke giregi patang ye ranaiyan ajib si hain yaad-e-yar mein khushbu ye khushbuon mein hai rangon mein rang ye