suraj ki tez dhup ka imkan talash kar jalti zamin pe zist ka saman talash kar shayad ki teri ruh ko aaram mil sake aabaadiyon ko chhod bayaban talash kar ye kah ki us ne dhup mein dam tod hi diya lashon ke is hujum mein insan talash kar meri tarah zamane mein kuchh aur bhi to hain un ko bhi ai kashakash-e-dauran talash kar ehsas ki jawan kharashon ko bhul kar bechain apni ruh ka darman talash kar khud pahle aaine ke muqabil khada to ho phir baad mein tu auron ke isyan talash kar chutki se noch dal ye peshaniyon ke phul jhute namaziyon mein musalman talash kar