suraj nae baras ka mujhe jaise das gaya tujh se mile hue mujhe ye bhi baras gaya bahti rahi nadi mere ghar ke qarib se pani ko dekhne ke liye main taras gaya milne ki khwahishen sabhi dam todti gain dil mein kuchh aise khauf bichhadne ka bas gaya diwar o dar jhulaste rahe tez dhup mein baadal tamam shahr se bahar baras gaya talwon mein narm ghas bhi chubhne lagi 'nasim' sahra kuchh is tarah mere pairon mein bas gaya