sukun-e-dil ki khatir ek sahaara dhundte hain jo gardish mein nahin hai wo sitara dhundte hain abhi to tujh se wabasta hain pichhle zakhm sare shab-e-rafta tujhe hum kyun dobara dhundte hain koi ghar hi nahin to be-ghari ka zakhm kaisa sukunat ke liye ek istiara dhundte hain zamin achchhi lagi hai aasman par ja ke hum ko kahan hai is zamin par ghar hamara dhundte hain ye dariya zindagi ka par kaise ho ki jab hum kinare par khade hain aur kinara dhundte hain hamari khwahish-e-be-khwahishi jo rakh kar de hum apni shakhsiyat mein wo sharara dhundte hain kisi mahtab ko qadmon mein le aane se pahle hum un aankhon ka halka sa ishaara dhundte hain