suraj tanab-e-sham ko thame khaDa rahe

suraj tanab-e-sham ko thame khada rahe
us ke palat ke aane ka imkan sa rahe

shab bhar dar-e-guman rahe dastak ka muntazir
galiyon mein ek fareb ko aawaz-e-pa rahe

azbar rahen kisi tarah pichhli rifaqaten
sukhe hue shajar pe bhi ek ghonsla rahe

main misl-e-bu-e-gul hun hawaon ke sath sath
mahsus kar sake wo mujhe dhundhta rahe

jate hue wo nam mere dil pe likh gaya
chhode hue makan pe makin ka pata rahe

aise guzar rahi hai hawadis ke darmiyan
kashti safar pasand ho pani ruka rahe

bujhte hue charagh ki lau par hai inhisar
ho ashk bhi na aankh mein baqi to kya rahe

yun bhi na hon 'farah' mere masdud raste
us se kabhi kabhi to kahin samna rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close