dar taKHayyul ke muqaffal nahin hone deta

dar takhayyul ke muqaffal nahin hone deta
main tujhe aankh se ojhal nahin hone deta

nind aati hai to aankhon mein jagah deta hun
apni palkon ko main bojhal nahin hone deta

kis ko sairab karega wo chhalakta baadal
jo mari pyas ko jal-thal nahin hone deta

chhin leta hai musawwir ke sabhi hosh-o-hawas
husn taswir mukammal nahin hone deta

kis ko iflas ne rakkha hai shagufta-khatir
ye to bachchon ko bhi chanchal nahin hone deta

koi kandhe pe mere hath dhare hai 'mahtab'
ye takhayyul mujhe pagal nahin hone deta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close