suraj uga to zindagi ki sham ho gai ab subh-e-nau bhi maut ka paigham ho gai dil mein sama gain wo zamane ki nafraten mehr-o-wafa bhi aakhirash badnam ho gai insan sare masjid-o-mandir mein bat gae insaniyat is daur mein nakaam ho gai zaitun ki jo shakh uthae tha hath mein gardan qalam usi ki sar-e-am ho gai 'afshan' kahan se laen wo aslaf ka khulus tarikh ki kitab hi nilam ho gai