ye duniya hai yahan asli kahani pusht par rakhna labon par pyas rakhna aur pani pusht par rakhna tamannaon ke andhe shahr mein jab mangne niklo to chadar sabr ki sadiyon purani pusht par rakhna main ek mazdur hun roti ki khatir bojh uthata hun meri qismat hai bar-e-hukmarani pusht par rakhna tujhe bhi is kahani mein kahin khona hai shahzade khuda hafiz ye mohr-e-khandani pusht par rakhna hamesha waqt ka dariya ise raftar bakhshega jise aata ho dariya ki rawani pusht par rakhna