surat-e-gham ki umandte hue baadal ka mizaj ras aae to bhala kyon kisi aanchal ka mizaj zindagi dhup mein tapte hue sahra ki tarah har khushi ruth ke jate hue baadal ka mizaj kaghazi kashtiyan bahte hue pani mein na chhod kis ko malum ki dariya mein hai daldal ka mizaj shakh-e-shamshir pe lo zakhm-e-bahaaran mahke rut badalte hi badal jata hai jangal ka mizaj ab ke basti mein badi dhum rahegi yaro chand raushan hai hawa mein bhi hai pagal ka mizaj us ke lahje ki halawat mein ghule jate hain us ne paya hai magar dosto hanzal ka mizaj kis ne dekhe hain badalte hue din-raat 'shamim' kis ko malum ki ras aae kise kal ka mizaj