wo aankhen jin mein koi phul muskuraega kabhi kiran to kabhi tara jagmagaega gai bahaar ki chahat mein ai hawa-e-chaman ye ek zard sa patta bhi tut jaega teri wafa pe mujhe shak nahin magar sach kah meri tarah se kisi aur ko bhi chahega use bhulaun to kaise ki naqsh-e-awwal hai hazar chahne wala nazar mein aaega wo ek lams ka lamha hawa-e-shauq bata wo ek khushbu ka jhonka palat ke aaega