surat-e-haal hai ab bhi wahi fankar ke sath log meamar ko chun dete hain diwar ke sath bas yahi soch ke har haal mein khush rahta hun kuchh na kuchh sukh bhi mile hain mujhe aazar ke sath apne ikhlas ko is darja bulandi de do koi dushman bhi mile jab to mile pyar ke sath manzilon par to pahunchne ki hai jaldi sab ko kaun chalta hai magar waqt ki raftar ke sath ab to chubhne pe bhi ehsas nahin hota hai hum ne ek umr guzari hai yahan khar ke sath muntazir hun ki labon se bhi ho izhaar koi un ki aankhon mein hai iqrar bhi inkar ke sath ab kahan log 'sharafat' hain wo jin ke lab se phul jhadte the hama-waqt hi guftar ke sath