surat-e-mauj samundar mein kahan se aaya main musafir ki tarah ghar mein kahan se aaya khwahish-e-khud-nigari sabz hui kis rut mein aaina dast-e-sikandar mein kahan se aaya sar darichon se nikal aae sada sunte hi ye hunar tere gadagar mein kahan se aaya markaz-e-gul tha so ab khak nazar aata hai ye taghayyur mere bistar mein kahan se aaya meri raaten bhi siyah din bhi andhere mere rang ye mere muqaddar mein kahan se aaya kis ne khincha meri tanhai ka naqsha 'asim' dasht is shahr ke manzar mein kahan se aaya