junun mein ret ko yun hi nahin nichoda tha kisi ki pyas ziyaada thi pani thoda tha phir us ke baad to aankhon se nind ghaeb thi kisi khayal ne ehsas ko jhinjhoda tha tamam umr bhatakte rahe the wahshat mein bas ek martaba hum ne hisar toda tha wajud rakhna tha apni shanakht kho kar bhi nadi ne khud ko samundar ki samt moda tha ye mushkilat usi rah mein na aani thin main jo bhi rasta chunta usi mein roda tha bikhar gae the mere gird dard ke sikke tumhaari yaad ki gullak ko raat toda tha