suraton ke shahr mein rauzan hi rauzan dekh kar ghar mein aa baithe kushada ghar ka aangan dekh kar log dale hain badan par fikr ke rangin ghilaf aainon mein shakhsiyat ka khurdura-pan dekh kar bad-guman ahbab hote hain to hone dijiye baat kyun ho fikr-o-fan ki rang-o-roghan dekh kar hum chale the khwahishon ka tajziya karne magar ruk gae hain in-o-an ki tez dhadkan dekh kar ab to virana hi virana hai shahr-e-dard mein kitne din roya kiye khwabon ka madfan dekh kar zehn tum ko jis taraf le jae ai 'tanwir' jao kya karoge maslak-e-shaikh-o-barahman dekh kar