surkh chaman zanjir kiye hain sabz samundar laya hun main to duniya bhar ke manzar aankhon mein bhar laya hun jangal the aur log purane sog pahan kar sote the ek anokhe khwab se apni jaan chhuda kar laya hun main itna mohtaj nahin hun tu itna mayus na ho aaj barahna-chashm nahin ashkon ki chadar laya hun sirf nashat-angez faza mein lahje ki tahzib hui dekh apne nauhon ke alam naghmon ke barabar laya hun 'saqi' yaadon ki fasdon se jita jita khun bahe main rangon ki faslen kat ke aaj apne ghar laya hun