tur tha kaba tha dil tha jalwa-zar-e-yar tha ishq sab kuchh tha magar phir aalam-e-asrar tha nashsha-e-sad-jam kaif-e-intizar-e-yar tha hijr mein thahra hua dil saghar-e-sarshaar tha alwidaa ai bazm-e-anjum hijr ki shab al-firaq ta-ba-daur-e-zindagani intizar-e-yar tha ek ada se be-niyaz-e-qurb-o-duri kar diya mawra-e-wasl-o-hijran husn ka iqrar tha jauhar-e-aina-e-alam bane aansu mere yun to sach ye hai ki rona ishq mein bekar tha shokhi-e-raftar wajh-e-hasti-e-barbaad thi zindagi kya thi ghubar-e-rahguzar-e-yar tha ulfat-e-derina ka jab zikr ishaaron mein kiya muskura kar mujh se puchha tum ko kis se pyar tha dil-dukhe roe hain shayad is jagah ai ku-e-dost khak ka itna chamak jaana zara dushwar tha zarra zarra aaina tha khud-numai ka 'firaq' sar-ba-sar sahra-e-alam jalwa-zar-e-yar tha