surkh ho jata hai munh meri nazar ke bojh se kya banegi zewar-e-gul-ha-e-tar ke bojh se yun hue hain khak baad-e-dafn tere na-tawan pis gae hain chadar-e-gul-ha-e-tar ke bojh se sharm go kam ho gai par nazuki ko kya karen ab jhuke jate hain khud apni nazar ke ke bojh se uf ri teri na-tawani laghari allah re zoaf ek hi karwat se hun dagh-e-jigar ke bojh se hilte hain abru tere bar-e-gul-e-rukhsar se jis tarah shakhen lachakti hain samar ke bojh se dil se aahen chal chuki hain ho gaya mumkin visal ab labon tak aa nahin saktin asar ke bojh se yas-o-hasrat se ye bulbul ki giranbari hui lakh man ka hai qafas ek musht-e-par ke bojh se jama-e-asli bahut kohna hua hai ai 'rashid' chaak ho jae na ashk-e-chashm-e-tar ke bojh se