sainkadon hi rahnuma hain rasta koi nahin aaine chaaron taraf hain dekhta koi nahin sab ke sab hain apne apne daere ki qaid mein daeron ki had se bahar sochta koi nahin sirf matam aur zari se hi jis ka hal mile is tarah ka to kahin bhi masala koi nahin ye jo sae se bhatakte hain hamare ird-gird chhu ke un ko dekhiye to wahima koi nahin jo hua ye darj tha pahle hi apne bakht mein is ka matlab to hua ki bewafa koi nahin tere raste mein khade hain sirf tujh ko dekhne muddaa puchho to apna muddaa koi nahin kun-fakan ke bhed se maula mujhe aagah kar kaun hun main gar yahan par dusra koi nahin waqt aisa ham-safar hai jis ki manzil hai alag wo sarae hai ki jis mein thaharta koi nahin gahe gahe hi sahi 'amjad' magar ye waqia yun bhi lagta hai ki duniya ka khuda koi nahin