surkh-ru sab ko sar-e-maqtal nazar aane lage jab hue hum aankh se ojhal nazar aane lage shahr walo jaan lena ganw mera aa gaya bachchiyon ke sar pe jab aanchal nazar aane lage hum ne mangi bhi dua-e-abr-e-rahmat kis ghadi jab saron par zulm ke baadal nazar aane lage aaine par aaj ke jamne na de mazi ki dhul taki tera aane wala kal nazar aane lage hum wahan tak bhi na pahunche jis bulandi se gire jab ki pichhde log bhi awwal nazar aane lage log to kahte the 'azim' ye kabhi phalti nahin zulm ki tahni pe kaise phal nazar aane lage