kis tarah milen koi bahana nahin milta hum ja nahin sakte unhen aana nahin milta phirte hain wahan aap bhatakti hai yahan ruh ab gor mein bhi hum ko thikana nahin milta badnam kiya hai tan-e-anwar ki safa ne dil mein bhi use raaz chhupana nahin milta daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho qarun ko bhi apna khazana nahin milta aankhen wo dikhate hain nikal jae agar baat bosa to kahan hont hilana nahin milta taqat wo kahan jaen tasawwur mein jo ai 'barq' barson se hamein hosh mein aana nahin milta