surkhi-e-rang-e-shafaq nur-e-sahar le ke chalo rahrawo mashal-e-khurshid-o-qamar le ke chalo jazba-e-jehd-e-musalsal tapish-e-azm-e-jawan ab jo chalte ho to ye zad-e-safar le ke chalo phunk dalen jo har ek khirman-e-fikr-e-baatil apni bebak nigah mein wo sharar le ke chalo tum ko karna hai madawa-e-gham-e-naua-e-bashar dard-e-dil le ke chalo soz-e-jigar le ke chalo aaj phir ahl-e-watan ko hai zarurat 'athar' nazr-e-jaan le ke chalo hadiya-e-sar le ke chalo