ye tarz-e-jaur ye andaz-e-dil dikhane ke

ye tarz-e-jaur ye andaz-e-dil dikhane ke
wo puchhte hain hamare ho ya zamane ke

hamare ghar ko lagi aag jin charaghon se
qusur-war hami thi unhen jalane ke

wo jin ke waste thukra diya zamane ko
wo de rahe hain mujhe waste zamane ke

hamare ahd ki tarikh hum se mat puchho
wo waqiat nahin hain sunae jaane ke

main de raha tha unhen dars zindagani ka
wo kar rahe the bahane mujhe mitane ke

huzur jurm-o-saza to bas ek bahana hai
hami the ahal saliben nai sajaane ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close